Urdu Shayari

02:13 Jot Chahal 0 Comments

Kuch is qadar hai gham-e-zindagi se dil manusm
khizan gai hai to baharon mein dil lagta nahi


Meri duniya aap ki muntazi hai
apni duniya chod kar aa jayee

Urdu Shayari submitted by : -Jot chahal



InheN aaNsu samajh kar yuN na miTTi meiN mila zaalim
payaam-e-dard-e-dil hai aur aaNkhoN ki zabaani hai


Le chal hareem-e-naaz meiN aie zauq-e-bandagi
aaj unke paaye naaz par sajda kareNge ham


Woh cheez kehte hain fidos-e-gumshuda jis ko
kabhi kabhi teri aankhoN mein paai jaati hai


Yaa rab hujum-e-dard ko de aur wus-ateiN
daaman to kya abhi meri aankheN bhi nam nahiN


Yun zindagi guzaar raha hun tere baghair
jaise koi gunah kiye jaa raha hun maiN


Hum ko jo chahe naasaih keh lo
kuch na khena un se khuda ke liye

Urdu Shayari submitted by : - Jot Chahal


Woh kab aaye bhi aur gaye bhi, nazar mein ab tak sama rahe hain
yeh chal rahe hain, woh phir rahe hain, yeh aa rahe hain, wo jaa rahe hain


Yeh kya muqam-e-ishq hai zaalim keh in dinon
aksar tere bagair bhi aaram ho gaya


Ibteda woh thi keh jeena tha mohabbat mein mohal
inteha yeh hai keh ab marna bhi mushkil ho gaya


Yeh dil ke zakhm nahin, Jigar ke daagh hain
rah-e-hayaat mein shama jala raha hai koi

Urdu Shayari submitted by : - Rana Chahal


Dekh zindaaN ke pare, rang-e-chaman josh-e-bahaar,
raq's karna hai to phir paon ki zanjeer na dekh


Rok sakta hameiN zidaan-e-balaa kya hai Majrooh
hum to aawaz haiN deewaroN se chan jaate hain


Muntazir haiN phir mere hadse zamaaane ke
phir mera junuN teri bazm mein ghazal khuwaN hai


Yeh niyaaz-e-gham khuwari yeh shikast-e-dildaari
bus nawazish-e-jaanaaN dilbahut pareshaaN hai


Dehar meiN majrooh koi jaavedaaN mazmooN kahaN
maiN jise choota gaya woh jaavedaaN banta gaya


Jis taraf chal pade hum aabla paayan-e-shauq
khaar se gul aur gul se gulistaan banta gaya

Urdu Shayari submitted by : - RONY CHAHAL


Mujh ko to hosh nahiN tum ko khabar ho shaayad
log kehate haiN ki tum ne mujhe barbaad kiyaa


Tamaam mehfil ke rubaru go uThaaeiN nazareN milaai aaNkheN
samajh saka ek bhi na lekin sawaal mera jawaab tera


Yeh meri waraftaghi, ma-aaz-allah
tum bhi aaye to kuch khabar na hui


Waqif hai Josh ishq se apne tamam shehar
aur hum yeh jaante haiN keh koi jaanta nahiN


Apnon ki dosti ne sikhayaa hai yeh sabaq
ghairon ki dushmani bhi inaayat se kam nahiN

Urdu Shayari submitted by : - Ranjot


Jis ko tum bhool gaye, yaad kare kaun us ko
jis ko tum yaad ho, woh aur kise yaad kare


Yeh baat, yeh tabassum, yeh naaz, yeh nigahen
aakhir tumhi bataao kyun kar na tumhen chaahen


Fikar-e-ma-aash, ishq-e-butaaN yaad-e-raftagaaN
is zindagi mein ab koi kya kya kare

Urdu Shayari submitted by : - jot chahal


Woh aaye bazm meiN itna to Meer ne dekha
phir uske baad chiraaghoN meiN roshni na rahi


Le saaNs bhi aahista ke nazuk hai bahut kaam
aafaq ki is sheesha-e-karigeeri ka


Yaad uski itni khoob nahi Meer baaz aa
Naadan phir woh ji se bhulaya na jayeega


Achcha sa koi mausam, tanha sa ko aalam
har waqt ka rona to bekaar ka rona hai


Ab yeh bhi nahi Theek keh har dard mita deN
kuch dard kaleje se lagaane ke liye haiN


Muddat ke baad aaj use dekh kar Muneer
ek bar to dil DhaDka magar phir saNbhal gaya

Urdu Shayari submitted by : - jot chahal

Mar chuk kahiN keh is gham-e-hijraaN se choot jaae
kehte to haiN bhale ki woh lekin buri tarha


taab-e-nazaara nahiN aaina kya dekhne duN
aur ban jaayeNge tasveer jo hairaaN hoNge


MaaNga kareNge ab se duaa hijar-e-yaar ki
aakhir ko dushmani hai dua ko asar ke saath


Us naqsh-e-paa ke sajde ne kiya kya kya zaleel
maiN kucha-e-raqeeb meiN bhi sar ke bal gaya


Hum nikaaleNge sun aie mauj-e-hawa bal tera
us ki zulfoN ke agar baal pareshaaN hoNge


Tujh ko khabar nahi magar ek saada-luh ko
barbaad kar diya tere do din ke pyar ne


Apni tabahiyoun ka mujhe koi gham nahi
tum ne kisi ke saath mohabbat nibha to di


Kaun rota hai kisi aur ki khaatir aie dost
sab ko apni hi kisi baat pe rona aaya


Lo ab tod diya hum ne rishtai-umeed
ab kisi se gila na karenge hum


Gar zindagi mein mil gaye phir ittefaq se
puchenge apna hal teri bebasi se hum

Urdu Shayari submitted by : - Jot Chahal

Le de ke apne paas faqt ek nazar to hai
KuyuN dekheN zindagi ko kisi ki nazar se hum


Dil ki dhadkan meiN tawazun aa chala hai kahir ho
meri nazareN bujh gaiN ya teri raanaai gai


Hum kareN tark-e-wafa, achcha chalo yuN hi sahi
aur agar tar-e-wafa se bhi na ruswaai gai


Jab kabhi un ki tawajjoh mein kami paai gai
az sar-r-nau daastan-e-shauq dohraai gai


Meri nadeem mohabbat ki wus-aton se na gir
buland baam-e-haram nahi kuch aur bhi hai.

Urdu Shayari submitted by : - Jot Chahal

Sehan-e-chaman me dafa-tan aake palat gai bahaar
ahal-e-junuN ne ghaaleban aqal se kaam liya


Rind kharaab-e-nosh ki be-adabi to dekhiye
niyat-e-mai kashi na ki haath me jaam le liya


Mujhe chod demere haal par, tera kya bharosa aie chaarah-gar
teri nawaazish-e-mukhtasar, mera dard kahiN baDha na de


Ba-wafa sahi tum, maiN ghalat samjha tha
maane leta hun aisi bhi wafa hoti hai


Le gaya cheen ke kaun aaj tera sabar-o-qaraar
beqaraari tujhe aie dil kabhi aisi to na thi

Urdu Shayari submitted by : - jot chahal

maiN sisakta hi reh gaya aur mar gaye Farhaad-o-Qais
kya unhi donoN ke hisse meiN qaza thi maiN na tha


Na ched ai nikhat-e-baad-e-bahari raah lag apni
tujhe athkheliyaN sujhi haiN, hum bezaar baithe hain


Kabhi afsos aata hai kabhi rona aata hai
dil-e-beemar ke haiN do hi ayaadat wale


Tum bhool kar bhi nahi yaad karte ho kabhi
ham to tumhaari yaad meiN sab kuch bhula chuke


Mera khat usne paDha, paDh ke naama-bar se kaha
yehi jawaab hai is ka koi jawaab nahi


Suna hai maiN ne bhi zikar bahisht-o-hoor-o-tahoor
Khuda ka shukar hai keh neeyat meri kharab nahi


Hum ne to donoN ko dekha , donoN hi be-dard kaThor
dharti wala aNbar wala pehla chaaNd aur dooja chaaNd


Deen-o-dil-o-jaaN sab sarmaaya is me apna sarf hua
ishq yeh kaarobaar nahi kya aur jo kaarobar kareN


Woh jo tera daagh-e-ghulaami maathe per liye phirta hai
us ka naam to Inshaa Thehra naa-haque ko bad-naam hai chaaNd


SakhiyoN se kab sakhiyaaN apne ji ke bhed chupaati haiN
hum se nahi to us se keh de karta kahaN kalaam chaaNd


Dekh ai umeed, keejo ham se na tu kinaara
tera reh gaya hai le de ke ek sahaara


Hoti nahi qubul dua tark-e-ishq ki
dil chaahta na ho to zabaaN mein asar kahaaN


Rona hai yeh ke aap bhi haNste haiN warna yaaN
ta'an-e-raqeeb dil pe kuch aisa garaaN na tha


Hai justuju keh khub se khub tar kya
ab theharti hai dekhiye jaa kar nazar kahaN


Hafeezun se maiN jitna bad-gumaaN huN
woh mujh se is qadar barham na hoNge

0 comments: